home share

कीर्तन मुक्तावली

जो राधा के गुन गाये वो श्यामके मनको भाये

साखी

श्याम राधे कोई कहे ना, कहते राधेश्याम;

जनम जनम के भाग जगा दे, एक राधाका नाम.

जो राधा के गुन गाये वो, श्यामके मनको भाये ꠶टेक

भेद न समज कोई देवका, ज्ञानी सब भरमाये,

तीन लोक का स्वामी जिसको, राधा नाच नचाये꠶ १

जहां भी चरन धरे भक्तोंने वो मंदिर कहलाये,

जहां रमाली एक दिन घूमी, सो तीरथ बन जाये꠶ २

Jo Rādhā ke gun gāye vo Shyāmke manko bhāye

Sākhī

Shyām rādhe koī kahe nā, kahate Rādheshyām;

Janam janam ke bhāg jagā de, ek Rādhākā nām.

Jo Rādhā ke gun gāye vo, Shyāmke manko bhāye...

Bhed na samaj koī devkā, gnānī sab bharmaye,

 Tīn lok kā Swamī jisko, Rādhā nāch nachāye... 1

Jahā bhī charan dhare bhaktone vo mandir kahalāye,

 Jahā ramālī ek din ghumī, so tīrath ban jāye... 2

Kirtan Selection

Category