कीर्तन मुक्तावली
भगवान मोरी नैया उस पार लगा देना
भगवान मोरी नैया उस पार लगा देना;
अब तक तो निभाया है, आगे भी निभा लेना... ꠶टेक
दल बल के साथ माया, घेरे मुझे जो आकर;
तब देखते न रहना, झट आके छुडा लेना ꠶ १
संभव है झंझटोंमें, तुझको मैं भूल जाउं;
पर नाथ कहीं तुम भी, मुझको न भूला देना ꠶ २
तुम इष्ट मैं उपासक, तुम पूज† मैं पूजारी;
यह बात अगर सच है, सच करके दिखा देना ꠶ ३
†देव
Bhagwān morī naiyā us pār lagā denā
Bhagwān morī naiyā us pār lagā denā;
Ab tak to nibhāyā hai, āge bhī nibhā lenā...
Dal bal ke sāth māyā, ghere mujhe jo ākar;
Tab dekhte na rahnā, jhaṭ āke chhuḍā lenā... 1
Sambhav hai jhanjhaṭome, tujhko mai bhul jāu;
Par Nāth kahī tum bhī, mujhko na bhulā denā... 2
Tum īshṭ mai upāsak, tum puj mai pūjārī;
Yah bāt agar sach hai, sach karke dikhā denā... 3